Suna hai dard ka alag hi hai maza
Din guzre ab kitne na main roya na hasa
Saansein sard meri dil jal ke ab dhua
Jo hua hai mujhe haan tujhe bhi hua
Rootha main yahan tum bhi baithe ho khafa
Kuch bacha nahi kya humare darmiyaan
Toota main yahan bikhre tum bhi ho wahan
Kuch bacha nahi kya humare darmiyaan
Shab-e-furqat jo thi toh aisa tha laga
Woh raat beeti magar savera na hua
Baat itni bhi toh bigdi thi kahan
Phir milengay kabhi fursat se zara
Rootha main yahan tum bhi baithe ho khafa
Kuch bacha nahi kya humare darmiyaan
Toota main yahan bikhre tum bhi ho wahan
Kuch bacha nahi kya humare darmiyaan
Rootha main yahan tum bhi baithe ho khafa
Toota main yahan bikhre tum bhi ho wahan
Rootha main yahan tum bhi baithe ho khafa
Toota main yahan bikhre tum bhi ho wahan
Munasib na lage mujhko ab dooriyan
Kya khush ho tum bhala lekar yeh faisla