Khali si sadak mein bas phone mere hath mein
Yaar to bahut hain par koi na hai saath mein
Akela main batein karta bas apne aap se
Khul ke jeena yaaron sang ab ek zinda khwab hai
Haan pyaar tha mujhe pyaar ek tarfa
Bol na saka kyonki ye mujhko dar tha
Na bol de agar tu to kya karunga main
Ek tarfa pyaar bhi phir na mere bas ka
Woh saal mujhko yaad yaad hain woh pal
Woh class mujhko yaad yaad beeta kal
Socha tha sang banayenge pyaar ka mahal
Teri yadein sang mein mere aur main tanha hun idhar
Khali purse mein photo hai rakhi
Koi puchhta hai kaun kahta hun sakhi
Dekh leta hun bhale ek nazar sahi
Akelapan sa lage mujhko jab kabhi
Nikal pada hun rahon mei le kar yadein khwabo mein
Nikla dhundhne tujhe na jaanu khud kahan hun main
Aa rahi ho kyon naye sawal le kar
Main pahle se gum mile hue jawabon mein
Socha aise hi jiyun yadon ko tadapna maan
Aise hi jiyun khwabon mein tujhe apna maan
Mere sang hi main ab rahne laga hun khush
Aise hi jiyun teri baaton ko ek sapna maan
Jitne bhi hain dard har dard ki dava ho tum
Sath sang mein na ho phir bhi humnava ho tum
Ek hi hai marz mera bedili teri
Pramaan dun kya iska khud hi jab gawah ho tum
Amaavas ke chand si tum bhi na dikhi
Na bola maine kuchh par tum bhi chup rahi
Kahi suni baaton par karun kaise yakeen
Tere dil mein pyaar tha mere liye nahi
Sochu kisi ke bare mein to har pal darun main
Ek baar bach gaya shayad ab jaa marun mein
Pahla pyaar thi tu mera aakhiri sahi
Ek tarfa chahun bas na aur kuchh karun main